dil mein tere jo koi ghar kar gaya sakht muhim thi ki wo sar kar gaya wahm-e-ghalat-kar ne dil khush kiya kis pe na jaane wo nazar kar gaya ja hi bhida tujh saf-e-mizhgan se yar dil to mera zor-e-jigar kar gaya raat mila tha mujhe tanha raqib yar khuda ka hi main dar kar gaya faiz tere wasf-e-buna-gosh ka apne sukhan ko to guhar kar gaya dekh li saqi ki bhi dariya-dili lab na hamare kabhu tar kar gaya kyun ke karahun na shab o roz mein dard mere pahlu mein ghar kar gaya nafa ko pahuncha ye tujhe de ke dil jaan ka apni mein zarar kar gaya aur ghazal ab koi sauda tu kah ye to yunhi thi main nazar kar gaya