jo gaya yahan se isi makan mein aaega tha sitara tut ke aasaman mein aaega kabhi khwab sa kabhi khushbuon ka hijab sa badi mushkilon se wo mere dhyan mein aaega use sochna na samundaron ke dimagh se wo guhar sadaf ke faqat guman mein aaega nahin aa saka jo main gul-zaminon ke jashn tak tu ghubar sa kisi sabz lawn mein aaega abhi tar hain lab teri guftugu ki mithas se tera zaiqa bhi meri zaban mein aaega abhi ped ko kisi sakht rut ka hai samna agar uth saka to badi uthan mein aaega