dil mein us shokh ke jo rah na ki hum ne bhi jaan di par aah na ki parda-poshi zarur thi ai charkh kyun shab-e-bul-hawas siyah na ki tishna-lab aise hum gire mai par ki kabhi sair-e-id-gah na ki us ko dushman se kya bachae wo charkh jis ne tadbir-e-khasf-e-mah na ki kaun aisa ki us se puchhe kyun pursish-e-haal dad-khwah na ki tha bahut shauq-e-wasl tu ne to kami ai husn tab-gah na ki ishq mein kaam kuchh nahin aata gar na ki hirs-o-mal-o-jah na ki tab-e-kam-zarf ko kahan tum ne dushmani ki adu se chah na ki main bhi kuchh khush nahin wafa kar ke tum ne achchha kiya nibah na ki mohtasib ye sitam gharibon par kabhi tambih-e-baadshah na ki girya-o-ah be-asar donon kis ne kashti meri tabah na ki tha muqaddar main us se kam milna kyun mulaqat gah gah na ki dekh dushman ko uth gaya be-did mere ahwal par nigah na ki 'momin' is zehn-e-be-khata par haif fikr-e-amurzish-e-gunah na ki