khamoshi bohran-e-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup sannata tak chikh raha hai tum bhi chup ho hum bhi chup tark-e-talluq kar ke zaban se dil ka jina mushkil hai ye kaisa aahang-e-wafa hai tum bhi chup ho hum bhi chup dil walon ki khamoshi hi bar-e-samaat hoti hai be-awazi karb-e-faza hai tum bhi chup ho hum bhi chup bhes badalti aawazen hi sham-o-sahar kahlati hai waqt ka dam kya tut gaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup sakte tak ab aa pahuncha hai badhte badhte karb-e-sukut honton par kya waqt pada hai tum bhi chup ho hum bhi chup kaisi narmi kaisi sakhti lahje ki kya baat karen fikr hi ab gham-karda sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup jab tak rah-e-wafa thi sidhi zor-e-bayan tha aish-e-safar shayad koi mod aaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup