dil mein utri hai nigah rah gain bahar palken kya khadang-e-nigah-e-yar ki hain par palken fart-e-hairat se ye be-his hain sarasar palken ki huin aaina-e-chashm ki jauhar palken ye daraazi hai ki wo shokh jidhar aankh uthae ja pahunchti hain nigahon ke barabar palken kya tamasha hai ki dale mere dil mein surakh aur khun mein na huin un ki kabhi tar palken nargis us ghairat-e-gul-zar se kya aankh milae aankh bhi wo ki nahin jis ko mayassar palken hai gham-e-marg-e-adu bhi but-e-kafir ka banaw qatra-e-ashk se hain rishta-e-gauhar palken chat deta hai tera dil unhen khun-rezi ki tez karti hain isi sang pe khanjar palken li gain dil ko wo duzdida nigahen ab yan kya dhara hai jo chadha lati hain lashkar palken kina kuchh shart nahin un ki dil-azari ko nish-e-aqrab hain teri shokh sitam kar palken hai yahi girya-e-khunin to kisi din 'nazim' yun hi rah jaengi aapas mein jhapak kar palken