dil mein wo the dil tha raushan ab KHuda ka nam hai

dil mein wo the dil tha raushan ab khuda ka nam hai
wo tha aaghaz-e-mohabbat aur ye anjam hai

zabt-e-gham ka silsila ab juzw-e-hasti ban gaya
chahe jo kuchh bhi karen wo mere sar ilzam hai

bistar-e-gul par jo mahw-e-khwab hain wo jaanen kya
zindagi khar-e-alam hai tegh-e-khun-asham hai

husn ko sanjab-o-makhmal ishq ko jama-dari
bargah-e-haq se ulfat ka yahi inam hai

kham hai jis ka shuur-e-zindagi jaane wo kya
har hasin shai mein khushi ka aaj bhi paigham hai

jalwa-ha-e-rang-o-bu kya dawat-e-fikr-o-nazar
zindagi kya hai musalsal justuju ka nam hai

khun jab ghunchon ka hota hai to khilte hain gulab
parda-e-takhrib mein tamir ka paigham hai

chashm-e-insan mein hui taqdir-e-alam be-hijab
markaz-e-taskhir ab to charkh-e-nili-fam hai

zindagi ka raaz kya hai ya fana kya chiz hai
tu 'payami' ramz samjhe ye khayal-e-kham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close