hamari tarah uThaya hai kis ne gham tanha

hamari tarah uthaya hai kis ne gham tanha
ki un ke sath zamana hai aur hum tanha

wafa ki rah mein kante qadam qadam pe mile
mere siwa to chale koi do qadam tanha

ye kis maqam pe le aai zindagi apni
sitam ke tir hazaron hain aur hum tanha

jidhar nigah gai ajnabi se chehre the
dayar-e-shauq mein phirte hain aaj hum tanha

hamare baad nisar-e-wafa kahan koi
phire hai shahr mein be-abru sitam tanha

khushi ki bhik 'payami' na mang ghairon se
ki kaam waqt pe aata hai apna gham tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close