dil mera jab tak kisi ke husn par mail na tha zindagi mein zindagi ka lutf kuchh hasil na tha mere hisse ka koi saghar sar-e-mahfil na tha tere mai-noshon mein saqi kya main is qabil na tha jaan-ba-lab mahfil mein un ki main na tha ya dil na tha kaun tha jo un ke tir-e-naz ka ghail na tha ek nazar milte hi un ka ho gaya kya qahr hai jis ko hum samajhte the apna dil wo apna dil na tha bahr-e-ulfat ki talatum-khez tughyani na puchh har taraf tufan hi tufan hai sahil na tha na-umidi dard-o-gham ranj-o-musibat ke siwa chahne walon ko un ke aur kuchh hasil na tha ek ishaare par bahaya khun pani ki tarah un ke jaan-bazon mein koi mujh sa dariya-dil na tha sahl kar di zindagi un ki umid-e-did ne warna un ke hijr mein marna koi mushkil na tha aah 'sabir' jab hua mera safina gharq-e-ab main tha majburi thi aur koi lab-e-sahil na tha