saqi bhi mai-e-gulfam bhi hai rindon ko sala-e-am bhi hai gardish mein chhalakta jam bhi hai bahken to magar ilzam bhi hai sab kuchh main luta deta lekin kya kahiye ki un ki nazron mein hushyari ki talqin bhi hai sar-masti ka paigham bhi hai tanwir-e-numud-e-subh bhi hai aariz ke damakte jalwon mein zulfon ke machalte sae mein taswir-e-sawad-e-sham bhi hai ai dil ye junun ki manzil hai kuchh sud-o-ziyan ki fikr na kar har gam pe yan rahraw ke liye aaghaz bhi hai anjam bhi hai ab dair-o-haram ki shorish ko ai waiz-e-nadan bhul bhi ja ye bazm ki bazm-e-rindan hai yan kufr bhi hai islam bhi hai shohrat bhi mili izzat bhi mili lekin ye 'jamal'-e-naghma-sara dil-gir bhi hai barbaad bhi hai nashad bhi hai nakaam bhi hai