dil mera mail-e-fughan na hua aag jalti rahi dhuan na hua mujh se apna bhi gham bayan na hua dard sharminda-e-zaban na hua hum zamane ko koste hi rahe apne kirdar par guman na hua lakh zebaish-e-qafas to ki ye qafas phir bhi aashiyan na hua aakhir un ko bhi meri yaad aai dard-e-dil mera raegan na hua qissa-e-dard ru-ba-ru un ke fart-e-jazbaat mein bayan na hua jo malaik se bar-e-gham na utha dil-e-insan pe wo giran na hua ek aansu ne kah diya jo kuchh sau zaban se bhi wo bayan na hua