dil mera said sine mein hai zulf-e-yar ka hai bul-ajab haram mein tariqa shikar ka aisi sharar-fishan hai meri aah-e-pur-sharar jis tarah chhutne mein ho aalam anar ka zill-e-karam mein tere tamazat ka zikr kya hai mehr par guman shajar-e-saya-dar ka lahra rahi hai rukh pe tere mauj-3xkhatt-e-sabz tuti ko aaine mein hai jalwa bahaar ka dagh-e-jigar kiya hai ata mujh ko ishq ne sikka hi kuchh alag hai mere shahr-yar ka rukh par tumhaare khal jo dekha qarib-e-zulf mujh ko guman us pe hua chashm-e-mar ka wo aaen mere ghar to main aankhon mein dun jagah dekhen wo lutf aankh se abr-e-bahaar ka nazzara-e-sanam ka in aankhon ko shauq hai karti hain kaam qabr mein bhi hoshiyar ka bulbul na kyon asir-e-mohabbat chaman mein ho dam us ke panw mein hai rag-e-gul ke tar ka saude mein zulf-e-yar ke jari hain tifl-e-ashk goya rawan hai qafila chin-o-tatar ka wo mast-e-jam-e-ishq hun 'mazhar' ki hashr tak mumkin nahin ki dakhl ho is mein khumar ka