hai barq-e-khirman-e-jaan soz-e-nihan hamara sargarm-e-jalwa-e-gham husn-e-bayan hamara rang-e-bahaar-agin mazmun se hai paida ye sher ki zamin hai ya bostan hamara ho naqsh-e-arzu bhi ek surat-e-nigarin gar ho musawwir-e-chin daur-e-zaman hamara kya harf-e-muddaa hai ek nashtar-e-rag-e-jaan kyon sarf-e-gham hai naqd-e-umr-e-rawan hamara aaghosh-e-zulm hi mein parwarda ho chuke hain kya imtihan karega ye aasman hamara sabr-o-qarar dil mein kis tarah rah paen ye nala-e-shab-e-gham hai pasban hamara dil-dad-gan-e-gham ko ishrat se kya talluq hai kucha-e-musibat darul-jinan hamara khamyaza-e-tamanna hai maujib-e-tabahi hai kaun jo uthae bar-e-garan hamara ai bakht-e-wazhgun hum tujh se ye puchhte hain kya hum ko kuchh na dega rozi-rasan hamara jaur-e-falak ka 'mazhar' parda utha hi dete hai sadd-e-rah lekin zabt-e-fughan hamara