dil mera tir-e-sitamgar ka nishana ho gaya aafat-e-jaan mere haq mein dil lagana ho gaya ho gaya laghar jo us laila-ada ke ishq mein misl-e-majnun haal mera bhi fasana ho gaya khaksari ne dikhaya baad murdan bhi uruj aasman turbat par mere shamiyana ho gaya khwab-e-ghaflat se zara dekho to kab chaunke hain hum qafila mulk-e-adam ko jab rawana ho gaya fasl-e-gul mein bhi rihai ki na kuchh surat hui qaid mein sayyaad mujh ko ek zamana ho gaya dil jalaya surat-e-parwana jab se ishq mein farz tab se shama par aansu bahana ho gaya aaj tak ai dil jawab-e-khat na bheja yar ne nama-bar ko bhi gae kitna zamana ho gaya pas-e-ruswai se dekho pas aa sakte nahin raat aai nind ka tum ko bahana ho gaya ho pareshani sar-e-mu bhi na zulf-e-yar ko is liye mera dil-e-sad-chaak shana ho gaya baad murdan kaun aata hai khabar ko ai 'rasa' khatm bas kunj-e-lahad tak dostana ho gaya