bahaaren aur wo rangin nazare yaad aate hain wo dilkash wadiyan wo mah-pare yaad aate hain mohabbat ke wo jaan-parwar sahaare yaad aate hain teri aaghosh mein jo din guzare yaad aate hain wo mausam wo saman wo din wo subh-o-sham wo raaten wo hanste nachte gate sitare yaad aate hain wo jhilen wo chaman wo ghuncha-o-gul aur wo sabza mere dil ko wo manzar pyare pyare yaad aate hain masarrat-bakhsh tha kitna tarannum aabshaaron ka wo lahren wo sukun-parwar kinare yaad aate hain wo jalwe husn ke wo shahid-e-rangin ki ranai shabab-e-kaif-o-masti ke wo dhaare yaad aate hain wo zulfen wo adaen aur wo rang-e-lab-o-ariz ghazalin ankhdiyon ke wo ishaare yaad aate hain nashat-e-ruh ai meri bahaar-e-zindagi mujh ko tere pahlu mein jo lamhe guzare yaad aate hain