dil mukaddar hai aaina-ru ka na mila rang se pata bu ka hai dam-e-subh wo khumarin aankh ek tuta tilism jadu ka kam jo thahre jafa se meri wafa to ye pasang hai taraazu ka dil ki bechainiyan khuda ki panah takiya hat hat gaya hai pahlu ka kahin jati bahaar rukti hai daman aaya na hath mein bu ka hai nai qaid ab ye aazadi zor tuta hua hai bazu ka aandhi aahon ki sail ashkon ki ab nahin koi apne qabu ka qahqaha bharti hai surahi kya zarf khum se siwa hai chullu ka soti qismat ki nind udawega narm takiya kisi ke zanu ka ishq-bazi hai jaan ki jokham wahin mara pada jahan chuka 'arzu' dil hai waqf-e-bim-o-umid jhilmilata charagh jugnu ka