shaKHcha KHak-e-gulistan mein paDa hai yaro

shakhcha khak-e-gulistan mein pada hai yaro
us se ehsan-e-bahaaran na utha hai yaro

tum ne puchha hai na kuchh hum ne kaha hai yaro
hadisa hum pe jo guzra hai to kya hai yaro

kar gaya khak hamein rukhsat-e-gul ka manzar
zakhm-e-nazzara magar ab bhi hara hai yaro

maryam-e-sham khule baal phir aati dekho
phir masiha koi suli pe chadha hai yaro

raat andheri sahi mayus nahin nur se hum
ashk palkon pe abhi kanp raha hai yaro

ab meri shab mere ashkon se rahegi raushan
sham ke waqt diya mera bujha hai yaro

samne aate ho ab ajnabiyon ki surat
ye bhi shayad koi yari ki ada hai yaro

panw hain khak pe khurshid pe saya us ka
'hashami' khoj mein ye kis ki chala hai yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close