dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa aur jab tujh se mila tut ke roya kaisa zindagi mein bhi ghazal hi ka qarina rakkha khwab-dar-khwab tere gham ko piroya kaisa ab to chehron pe bhi katbon ka guman hota hai aankhen pathrai hui hain lab-e-goya kaisa dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage hijr hi hijr marasim mein samoya kaisa ek aansu tha ki dariya-e-nadamat tha 'faraaz' dil se bebak shanawar ko duboya kaisa