nae safar mein jo pichhle safar ke sathi the phir aae yaad ki us rahguzar ke sathi the kahun bhi kya mujhe pal-bhar mein jo bikher gae hawa ke jhonke meri umr-bhar ke sathi the sitare tut gae os bhi bikhar si gai yahi the jo meri sham-o-sahar ke sathi the shafaq ke sath bahut der tak dikhai diye wo sare log jo bas raat-bhar ke sathi the ye kaisi hijr ki shab wo bhi sath chhod gae jo chand-tare meri chashm-e-tar ke sathi the