dil murid-e-ilzam-e-wafa aur bhi nikla

dil murid-e-ilzam-e-wafa aur bhi nikla
ek gham gham-e-dauran ke siwa aur bhi nikla

yun hone ko hum se hai khafa sara zamana
ek shakhs magar hum se khafa aur bhi nikla

har-chand ki hum karda khataon pe the nadim
duniya ko magar hum se gila aur bhi nikla

pahle hi se barham-kun-e-mahfil thi tabiat
mahaul magar hum se khafa aur bhi nikla

is bar wo dekhen karam-amada nigahen
juz hijr-e-mohabbat ka sila aur bhi nikla

le aai thi zindan mein shahidon ki mohabbat
lekin sabab-e-jurm-o-saza aur bhi nikla

hum wo ki jo raazi-ba-raza ho nahin sakte
har hukm pe honton se gila aur bhi nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close