numud o bud ko aaqil habab samjhe hain wo jagte hain jo duniya ko khwab samjhe hain kabhi bura nahin jaana kisi ko apne siwa har ek zarre ko hum aaftab samjhe hain ajab nahin hai jo shishon mein bhar ke le jaen in aansuon ko farishte gulab samjhe hain zamana ek tarah par kabhi nahin rahta isi ko ahl-e-jahan inqilab samjhe hain unhin ko dar-e-baqa ki hai pukhtagi ka khayal jo be-sabaati-e-dahr-e-kharab samjhe hain shabab kho ke bhi ghaflat wahi hai piron ko sahar ki nind ko bhi shab ka khwab samjhe hain lahad mein aaen nakirain aaen bismillah har ek sawal ka hum bhi jawab samjhe hain agar ghurur hai aada ko apni kasrat par to is hayat ko hum bhi habab samjhe hain na kuchh khabar hai hadison ki in safihon ko na ye maani-e-ummul-kitab samjhe hain kabhi shaqi mutamatta na honge duniya se jise ye aab use hum sarab samjhe hain muzil-e-aql hai duniya ki daulat ai munim usi ke nashshe ko sufi sharab samjhe hain hararaten hain maal-e-halawat-e-duniya wo zahr hai jise hum shahd-e-nab samjhe hain 'anis' makhmal o diba se kya faqiron ko isi zamin ko hum farsh-e-khwab samjhe hain