dil mutmain nahin hai nazar mutmain nahin is daur-e-ibtila mein bashar mutmain nahin kaif-e-bahaar bazm-e-tarab raqs-e-jam-e-mai kis kaam ke hain dil hi agar mutmain nahin aalam kisi ke tir-e-nazar ka shikar hai phir bhi kisi ka tir-e-nazar mutmain nahin kya jaane kis maqam pe ye sath chhod den in rahbaron se ahl-e-safar mutmain nahin sau bar aashiyana jalane ke bawajud meri taraf se barq-o-sharar mutmain nahin faizan-e-jalwa aur zara aam kijiye dil ko to hai yaqin-e-nazar mutmain nahin 'maikash' ko mai-kada mein bhi gham se nahin mafar hain baada-khwar jama magar mutmain nahin