har ek samt hai chhaya sukut ka manzar dhadak raha hai magar zalzala mere andar zamin ka zarf falak ka waqar rakhte hain zamin-nazhad sahi aasman par hai nazar dara na paenge hum ko ye sar-phire tufan ki mauj-e-azm to ja kar rukegi sahil par tujhe ye naz ki mirrikh tak tu ja pahuncha magar nazar nahin aata hai tujh ko apna ghar ye zulmaton ke pujari hain in se kuchh na kaho dikhai dete hain bahar se aaina-paikar guzar rahi hai ajab kashmakash mein meri hayat na chain ghar ke hai andar na ghar ke hai bahar ajib shahr ka aalam hai aaj ai 'najma' na samne koi manzar na ab hai pas-manzar