dil na baiThe use duniya ke KHazane se uTha

dil na baithe use duniya ke khazane se utha
dekh ek shai bhi na is aaina-khane se utha

naza ka karb hua kaif-e-dam-e-baz-pasin
le ke siski jo koi mere sirhane se utha

hae ab kaun sahe hans ke mere jaur-o-sitam
shor-e-matam mere marne ka zamane se utha

ishq ka dard na bardasht karen dasht-o-jabal
bar-e-gham ye bhi magar tere diwane se utha

tai hui rah-e-wafa jumbish-e-abru ke nisar
zindagi bhar ka tha ek bojh jo shane se utha

khun se khak pe likkhi gai tafsir-e-hayat
ya-husain aap ka nam aur mitane se utha

dar-e-jannat pe kaha qudsi se rizwan ne yahi
jaane kis khwab mein tha 'barq' jagane se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close