guman hai barq-e-tapan ko shayad idhar wo azm-e-jawan nahin hai jo baal-o-par hain mere salamat to aashiyana kahan nahin hai mere jinnon se sanwar gai hai urus-e-dauran ki zulf-e-pur-kham na ho jo rangin lahu se mere kahin koi dastan nahin hai hun khud hi main khugar-e-hawadis jo mauj-e-tufan se khelta hun ghalat samajhte hain ahl-e-sahil safina-o-baadban nahin hai main dasht-e-pur-haul tak gaya hun talash-e-manzil mein pa-ba-jaulan junun-e-warafta mera hargiz asir-e-ku-e-butan nahin hai nizam-e-mai-khana munhasir hai pasand-e-rindan-e-baada-kash par khilaf-e-jamhur-e-mai-kada ho bahaal pir-e-mughan nahin hai