dil na diwana ho ye us ko gawara bhi nahin chaak daman-o-gireban hon ye ima bhi nahin hum liye jaenge kuchh us ka bharosa bhi nahin jaan de den ye mohabbat ka taqaza bhi nahin be-niyaz aap se ho jaen ye hota bhi nahin dil hi jab dekhte hain koi tamanna bhi nahin jaan be-tab si rahti hai ki ho jae nisar aankh bhar kar abhi hum ne use dekha bhi nahin zakhm badhta bhi nahin faisla jis se ho jae tir wo dil mein laga hai ki nikalta bhi nahin be-hijabi bhi nahin wo ki jo hosh ud jaen hosh rah jaen thikane hi dar-parda bhi nahin chain padta hi nahin hai kisi karwat hum ko khar sine mein chhupa hun koi aisa bhi nahin phir bhi dil hai ki usi par hue jata hai nisar aankh utha kar kabhi jis ne hamein dekha bhi nahin zarre zarre pe bahaar aa gai dil mein bhi bahaar jazba-e-shauq hamara abhi bhadka bhi nahin panw rakhte bhi nahin aap badhe jate hain hum ko us kuche ka sauda ho to sauda bhi nahin lutf hota to yahi tha ki na hote barbaad hum jo barbaad hue to koi shikwa bhi nahin shikwa-e-jaur to karte hain magar sach to ye hai lutf hum par ho 'jigar' hum ne ye chaha bhi nahin