har kade waqt pe aaina dikhaya hai mujhe zindagi tu ne bade pyar se barta hai mujhe badh ke chume hain gham-e-ishq ne bhi mere qadam gham-e-dauran ne bhi aankhon pe bithaya hai mujhe rah-e-pur-pech pe hai zulf-e-rasa ka dhoka dasht-e-aghosh-e-tamanna nazar aaya hai mujhe apne gham-khwar ke ashkon ko taka karta hun gardish-e-waqt ne palkon pe sajaya hai mujhe ab kisi dard ka shikwa na kisi gham ka gila meri hasti ne badi der mein paya hai mujhe main gham-e-dahr ki chadar mein chhupa baitha tha raat bhar aa ke teri yaad ne dhunda hai mujhe