dil-nashin si ek sahar aur arghawani rang wasl ke lamhat par the kaamrani rang us ka pahlu us ka saya khwab kyon tuta rah-guzaron mein saje the jawedani rang ek ada-e-dilbarin se pas se guzra the lab-o-rukhsar phir aatish-fishani rang tere mere bich tha itna talluq bas shairi ko chahiye the kuchh kahani rang qurmuzi sa aaftab aur dhundla joban aasman par dur tak the aasmani rang tha kinara jhil ka aur koh ka daman sej thi phulon ki aur the zafrani rang tha nigah mein kis ka partaw ai banafshi subh yar ka chehra tha ya phir sat dhani rang