agar pairon ke chhaale kam na honge to rahon mein ujale kam na honge rahegi baadalon ki mehrbani zamin par nadiyan nale kam na honge sitare kam to ho sakte hain lekin mohabbat karne wale kam na honge ye aashiq hain hasinaon ki shaukat ye mahtabon ke haale kam na honge salamat hai labon ki pyas jab tak chhalakte mai ke pyale kam na honge kamai hogi jo mehnat ki 'panchhi' to roti ke niwale kam na honge