dil ne chaha tha ki ho aabla-pai rukhsat zindagi de ke hui shoala-fishani rukhsat tum ne jab shama bujhai to samajh mein aaya ek mauhum sa rishta tha so wo bhi rukhsat main udasi sar-e-bazar bhi laun aise jaise pani ki tamanna mein ho kashti rukhsat mere israr pe maujud tha ghar pe lekin us ne khamosh libasi mein likhi thi rukhsat teri taid ki taswir se ji utthe the nahin malum tha ye ret hai pani rukhsat main hawala teri tahrir ka kis nam se dun mujh se tu mang chuka harf-e-talli rukhsat