kami rakhta hun apne kaam ki takmil mein mabaada aap kho jaun kahin tamsil mein bahut shiddat rahi pahle kanar-e-chashm tak umad aaya hai ab wo sail rud-e-nil mein makan-e-jaan larazta hai hawa-e-hijr se charagh-e-yaad ko rakkhenge kis qindil mein ye ghadiyan aah pe mujh se gurezan hain agar to phir main kyun rahunga waqt ki tahwil mein azab-e-barq-o-baran tha andheri raat thi rawan thin kashtiyan kis shan se is jhil mein