dil ne dhire se koi lafz kaha sham ke baad

dil ne dhire se koi lafz kaha sham ke baad
ek dar band hua ek khula sham ke baad

teri yaadon ka daricha jo khula sham ke baad
tir barsane lagi sard hawa sham ke baad

dasht-e-ehsas mein sannata ye kaisa phaila
kisi aahat ne taaqub na kiya sham ke baad

din mashaqqat ke jahannum mein guzara main ne
dhundne nikla hun ab taza hawa sham ke baad

din ko saman-e-tamasha tha zamane ke liye
apni tanhai ka andaza hua sham ke baad

ek faqat lamha-e-maujud hai mera hona
khud meri zat pe ye uqda khula sham ke baad

ek mitti ka diya us pe tahayyur kaisa
dekhne aai jise baad-e-saba sham ke baad

'sabr' jab ism-e-mohammad ka ujala manga
mere sine pe khula ghaar-e-hira sham ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close