baDe shad the zindagani se pahle

bade shad the zindagani se pahle
magar sach to ye hai jawani se pahle

ye kaisi ghata hai ki tauba-kashon mein
barasne lagi aag pani se pahle

mujhe mujrim-e-ishq farmane wale
zara puchh apni jawani se pahle

samajhta na tha koi raaz-e-mohabbat
mere aansuon ki rawani se pahle

nigahon ne dekha hai daur-e-masarrat
magar ishq ki mehrbani se pahle

uthate na hum zindagani ki neamat
samajhte agar zindagani se pahle

agar rokna tha mohabbat se 'shakir'
to taklif karte jawani se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close