dil ne fareb ishq mein khae kahan kahan darmandagi mein ashk bahae kahan kahan sajde kahan kahan na kiye rah-e-shauq mein kabe qadam qadam pe basae kahan kahan bazm-e-bahaar-e-kunj-e-haram sehn-e-mai-kada diwangi ne hashr uthae kahan kahan har manzar-e-bahaar mein tera jamal hai wahshat sar-e-niyaz jhukae kahan kahan aaghaz-e-gham uruj-e-junun intiha-e-shauq wo zindagi mein yaad na aae kahan kahan 'mazhar' shab-e-firaq ki zulmat na dhul saki hum ne charagh-e-dagh jalae kahan kahan