koi tara na dikha sham ki virani mein yaad aaega bahut be-sar-o-samani mein dam-ba-khud rah gaya wo pursish-e-haalat ke baad aaina ho gai main aalam-e-hairani mein dil salamat rahe tufan se tasadum mein magar hath se chhut gaya hath pareshani mein sahl karti main takhatub mein mukarna tujh se mushkilen aur thin is rah ki aasani mein ab teri yaad jo aae bhi to yun aati hai jaise kaghaz ki koi naw chale pani mein aise aalam mein meri nind ka aaseb na puchh khwab mange hain teri chashm ki nigarani mein khinch rakhti hai mere mere panw ko dahliz talak koi zanjir hai is ghar ki nigahbani mein