dil ne kar di hai kham jabin aa ja ai meri ruh ke makin aa ja dil hai shishe ka hijr patthar sa dard ki par kar zamin aa ja bin tere be-samar hayati hai dil ki banjar hui zamin aa ja tujh ko ikhlas se pukara hai sun ke aawaz ham-nashin aa ja aarzu dil ki did ho teri sun mere mah-ru hasin aa ja ishq ek raaz ban gaya jab se chain pal bhar ko bhi nahin aa ja ruh ka 'shaz' wo jo mahram hai us se kah do ki dil-nashin aa ja