sunaun dastan tumko alam ki

sunaun dastan tum ko alam ki
nahin hai intiha kuchh mere gham ki

main khud hi hun saza-war-e-zamana
kisi ne meri khatir aankh nam ki

mera mahbub jab mujh ko mila hai
nahin hajat kisi rahm-o-karam ki

hue hain raste hamwar khud hi
koi parwa nahin hai pech-o-kham ki

meri taqdir wabasta tumhin se
yahi tahrir hai lauh-o-qalam ki

hawadis hain hamesha sath mere
nahin hai baat kuchh jaur-o-sitam ki

'nasim' ab ek hi meri khushi hai
tamanna-e-dili bab-e-haram ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close