dil ne phir chaha ujale ka samundar hona phir amawas ko mila mera muqaddar hona dosto main to na manunga wo hai khushk-mizaj us ne aankhon ko sikhaya hai meri tar hona aaj sunte hain wo mail-ba-karam aaega ai meri ruh mere jism ke andar hona mere honton pe jami pyas gawahi degi main ne qatre ko sikhaya tha samundar hona mujh se is bar miloge to samajh jaoge kaisa hota hai kisi shakhs ka patthar hona