dil-o-dimagh ki zid hai ki apne ghar mein raho mizaj kahta hai har waqt ek safar mein raho wajud kuchh na rahe sirf is tarah ho jao raho to aise ki har lamha har nazar mein raho jhulas rahe hain kai jism saebanon mein kis e'tibar pe phir saya-e-shajar mein raho kisi darakht se mango na sae ki khairaat nabard-azma suraj se dopahar mein raho dil-e-'sharar' mein nahin kuchh bhi tajrabon ke siwa jo rahna hai to tamazat bano sharar mein raho