wo ek shakhs ki bais mere zawal ka tha zamin se milta hua rang us ke jal ka tha dil o nigah mein jhagda bhi munfarid tha magar jo faisla hua wo bhi bade kamal ka tha main jaan dene ka dawa wahan pe kya karta jo masala use darpesh tha misal ka tha main chahta tha ki wo khud-bakhud samajh jae taqaza us ki taraf se magar sawal ka tha ye aur baat ki bazi isi ke hath rahi wagarna farq to le de ke ek chaal ka tha tamam umr ganwa di jise bhulane mein wo nisf mazi ka qissa tha nisf haal ka tha main pahle zakhm pe chaunka tha dard se lekin phir us ke baad kise hosh indimal ka tha