dil-o-jigar to kisi dilruba ne lut liya bachi thi jaan so us ko qaza ne lut liya dikha ke dast-e-hinai wo hans ke kahte hain shafaq ke rang ko rang-e-hina ne lut liya guzar gai yunhi chup-chap hae sari raat maza visal ka sharm-o-haya ne lut liya suna ke naghma-e-dilkash kabhi dikha ke jhalak hamare dil ko kisi dilruba ne lut liya hawas-o-hosh ko gum kar diya hai ulfat ne qarar-o-zabt ko naz-o-ada ne lut liya hamara naz ka pala hua tha dil hamdam use nasib se ek dilruba ne lut liya sada-e-haq jo thi 'sanjar' jahan mein gunj uthi zaban se lafz jo nikla saba ne lut liya