har dar aur rasan mein jalwa usi ka dekha kakul ki har shikan mein jalwa usi ka dekha kaba ho ya kalisa masjid ho ya ki mandir har ek anjuman mein jalwa usi ka dekha har shakh aur shajar mein har phul aur kali mein nasrin mein nastaran mein jalwa usi ka dekha naghmon mein bulbulon ke ku-ku mein qumriyon ki har gul mein gul-badan mein jalwa usi ka dekha husn-e-sanam ke andar pinhan usi ko paya but aur barhaman mein jalwa usi ka dekha har naz har ada mein shokhi mein aur haya mein us shokh ke dahan mein jalwa usi ka dekha ye sab usi sanam ke qudrat ke hain karishme husn aur bankpan mein jalwa usi ka dekha aai nazar lahad mein baad-e-fana wo surat munh chhupte hi kafan mein jalwa usi ka dekha parwane hain fidai jis shama-ru ke 'sanjar' har sham anjuman mein jalwa usi ka dekha