dil-o-nazar mein na paida hui shakebai

dil-o-nazar mein na paida hui shakebai
kisi ke gham ne tabiat hazar bahlai

tamam husn-o-mohabbat tamam ranai
wo ek nigah jo paigham-e-zindagi lai

chhalak paden na kahin ashk meri aankhon se
kisi ke dard-e-mohabbat ki ho na ruswai

gham-e-zamana ke mare na rah sake zinda
nigah-e-dost ne kya kya na ki masihai

na ruk sakenge rah-e-ishq mein junun ke qadam
ki badh raha hai abhi zauq-e-abla-pai

wo jehd-e-jama-dari hai na fikr-e-bakhiya-gari
ajib haal mein hain aaj tere saudai

nazar pada na kahin wo ghazal-ram-khurda
junun-e-shauq ne ki lakh dasht-paimai

meri tarah to tamasha na ban saka koi
agarche ek jahan tha tera tamashai

qarib aa ke bhi ehsas-e-buad mit na saka
ki tere ho ke bhi hum hain tere tamannai

jo hirs-o-az ke bande hain un ko kya malum
waqar-e-bandagi-o-azmat-e-jabin-sai

har ek chiz jahan sim-o-zar mein tulti hai
mere khulus ki kya ho wahan pazirai

ye lala-o-gul-o-nasrin ye anjum-o-mahtab
kahan nahin tere jalwon ki aalam-arai

mujhe wo ahd wo din-raat yaad aate hain
ki jab na thi tere gham se koi shanasai

shab-e-firaq ki be-tabiyon ko kya kahiye
kabhi kabhi to mere gham ko bhi hansi aai

na rah saka kisi aalam mein bhi tera 'muztar'
ki gham hua na gawara khushi na ras aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close