ki jaise koi musafir watan mein laut aae hui jo sham to phir se thakan mein laut aae na aabshaar na sahra laga sake qimat hum apni pyas ko le kar dahan mein laut aae safar tawil bahut tha kisi ki aankhon tak to us ke baad hum apne badan mein laut aae kabhi gae the hawaon ka samna karne sabhi charagh usi anjuman mein laut aae kisi tarah to fazaon ki khamushi tute to phir se shor-e-salasil chalan mein laut aae 'amir' imam batao ye majra kya hai tumhaare sher usi bankpan mein laut aae