dil-o-nigah ko kab in ka mustaqar jaana khayal-o-khwab ko ek arsa-e-safar jaana tumhaare khwab pas-andaz kar liye hum ne aur apne aap ko phir kitna mo'atabar jaana ye karwan to na jaane kahan talak jae tumhein jahan kahin manzil mile thahar jaana guhar sadaf mein na rahta to phir kahan rahta us ek qatre ko kis ne aziz-tar jaana sarisht hai yahi us ki bachaega daman agar wo baat badal de to zabt kar jaana samajh to lene do in nafraton ka koi jawaz phir is ke baad mere dil se bhi utar jaana jo kuchh kaha use ahwal-e-waqai samjha jo sachcha sher na samjha use hunar jaana bada sukun badi aafiyat milegi 'nasim' kisi ki bazm se uttho to apne ghar jaana