dil pahuncha halaki ko nipat khinch kasala le yar mere sallamahu allah-taala kuchh main nahin us dil ki pareshani ka bais barham hi mere hath laga tha ye risala mamur sharabon se kababon se hai sab dair masjid mein hai kya shaikh piyala na niwala guzre hai lahu wan sar har khar se ab tak jis dasht mein phuta hai mere panw ka chhaala gar qasd udhar ka hai to tak dekh ke aana ye der hai zahad na ho khana-e-khala jis ghar mein tere jalwe se ho chandni ka farsh wan chadar mahtab hai makdi ka sa jala dushman na kudurat se mere samne ho jo talwar ke ladne ko mere kijo hawala namus mujhe safi tinat ki hai warna rustam ne meri tegh ka hamla na sambhaala dekhe hai mujhe dida-e-pur-khashm se wo 'mir' mere hi nasibon mein tha ye zahar ka pyala