wasl mein wo chhedne ka hausla jata raha tum gale se kya mile sara gila jata raha yar tak pahuncha diya betabi-e-dil ne hamein ek tadap mein manzilon ka fasla jata raha ek to aankhen dikhain phir ye shokhi se kaha kahiye ab to kam-nigahi ka gila jata raha roz jate the khat apne roz aate the payam ek muddat ho gai wo silsila jata raha ro rahe the dil ko hum yan hosh bhi jate rahe gum-shuda yusuf ke pichhe qafila jata raha mud ke qatil ne na dekha war pura ho gaya kushtgan-e-nim-bismil ka gila jata raha wadi-e-ghurbat ke sathi hain hamein dil se aziz ro diye hum phut kar jab aabla jata raha be-khudi mein mahw-e-nazzara the hum kyun chaunk uthe hae wo apna maze ka mashghala jata raha kya mohazzab ban ke pesh-e-yar baithe hain 'jalil' aaj wo josh-e-junun wo walwala jata raha