dil par jo zakhm hain wo dikhaen kisi ko kya apna sharik-e-dard banaen kisi ko kya har shakhs apne apne ghamon mein hai mubtala zindan mein apne sath rulaen kisi ko kya bichhde hue wo yar wo chhode hue dayar rah rah ke hum ko yaad jo aaen kisi ko kya rone ko apne haal pe tanhai hai bahut us anjuman mein khud pe hansaen kisi ko kya wo baat chhed jis mein jhalakta ho sab ka gham yaaden kisi ki tujh ko sataen kisi ko kya soe hue hain log to honge sukun se hum jagne ka rog lagaen kisi ko kya 'jalib' na aaega koi ahwal puchhne den shahr-e-be-hisan mein sadaen kisi ko kya