yahan wahan kuchh lafz hain mere nazmen ghazlen teri hain rang dhanak ye mahka baadal sab taswiren teri hain tanha rahun ya bhid se guzrun tanha main kab hota hun yun lagta hai jaise musalsal mujh pe nigahen teri hain tanha sahil khwab gharaunda aas jazira mera hai nila baadal sat samundar panch zaminen teri hain husn-e-jaanan ishq ka jadu raqs-o-masti dard ki lai is mahfil ki jalti bujhti sari shamen teri hain do hisson mein bati hai kaise ye duniya yun jaana hai khwab hain jitne sab mere hain sab tabiren teri hain