dil par kisi patthar ka nishan yun hi rahega ta-umr ye shishe ka makan yun hi rahega hum thahre rahenge kisi tabir ko thame aankhon mein koi khwab rawan yun hi rahega hai dhund mein duba hua is shahr ka manzar kya jaaniye kab tak ye saman yun hi rahega kuchh der rahegi abhi bazar ki raunaq kuchh der ye hone ka guman yun hi rahega bujh jaega ek roz teri yaad ka shola lekin mere sine mein dhuan yun hi rahega lau de to raha hai mere khwabon ke ufuq par lekin ye sitara bhi kahan yun hi rahega