dhup utri hai na rahon mein ghana saya hai ab tere baad tere shahr mein kya rakha hai yun to tanhai ka ehsas azal se hai hamein kuchh dinon se to dil-e-zar bahut tanha hai chandni hu ka saman ek chhanake ki sada jhil ka aaina kya pichhle pahar tuta hai ratjage aise manae hain ki ji jaanta hai jam-e-mahtab ko aankhon ne bahut chuma hai dil-e-mizrab ki dhadkan hai abhi mera wajud tu ne wo naghma suna kab hai jo na-paida hai maqtal-e-shahr mein sar hain ki salibon ke hujum khun ka dariya hai ki ta-hadd-e-nazar thahra hai zindagi ret ke tile ki tarah hai 'khawar' aarzu jaise koi aahu-e-be-parwa hai